My SCRAPBOOK (సేకరణలు): A COLLECTION of articles in English and Telugu(తెలుగు), from various sources, on varied subjects. I do not claim credit for any of the contents of these postings as my own.A student's declaration made at the end of his answer paper, holds good to the articles here too:"I hereby declare that the answers written above are true to the best of my friend's knowledge and I claim no responsibility whatsoever of the correctness of the answers."

Sunday, April 16, 2006

SHAAYARI(urdu/Hindusthani)


Train ruki...
Khidki khuli..
Nazarein mili.. Usne kaha.
Chai. Chai.Garam Chai..

Jab Jab gire Baadal,
Teri Yaad aayiJhoom ke barsa Saawan,
Teri Yaad aayiBheega main,
lekin phir bhi teri Yaad aayiKyon na aaye teri yaad?
tune jo chatri ab tak nahi lautai...

Na woh inkaar karti hai
Na woh ikraar karti hai
KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar
mere dost se pyaar karti hai

Maine poocha chand se ki
dekha hai kahin mere yaar sa hasin...
chand ne kaha..
Ullu ke pathe.. itni upar se dikhta hai kya koi???

Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,
Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
Wo to hamare ho na sake,
Hum kutton ke pyarey ho gaye...

Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Yahan likhana mana hai.

Khuda se Scooter manga.. Car di;
Apartment manga.. bangla diya;
dost manga to tumhain diya..
Khuda ne is bar aisa zulm kyoun kiya

Ghoonghat me tujhe dekha to.....
Deewana huaSangeet ka
taraana huaShamaa ka parwana hua
Masti me mastaana hua....
Par jaise hi ghoonghat uthaaya to ...
Is duniya se ravaana hua

Door se dekha to haseena bula rahi thee..
paas jaa ker dekha to
bhains sir hila rahi thee

Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
to hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki
nazare hi tirchhi hai,
to hum behosh ho gaye...

TERI JHEEL SI AANKHON MEIN DOOB JAANE KO JI CHHAHTA
HAITERI JHEEL SI AANKHON MEIN DOOB JAANE KO JI CHHAHTA HAI
PAR KYA KAROON, KAMBAKKTH YE CHASHMA BEECH MEIN AA JATA HAI

Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paogemaine
kahaa ki kutte ke khaane kaa cake hai
bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge!!!!:?

yE Khuda, Ishq kar, khud ko jala ke dikha,
Phir ye duniya chala ke dikha
Baadal, bijli, toofan, bahut nacha liye
Kabhi kisi haseena ke dil ko hila ke dekha?

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

<< Home