My SCRAPBOOK (సేకరణలు): A COLLECTION of articles in English and Telugu(తెలుగు), from various sources, on varied subjects. I do not claim credit for any of the contents of these postings as my own.A student's declaration made at the end of his answer paper, holds good to the articles here too:"I hereby declare that the answers written above are true to the best of my friend's knowledge and I claim no responsibility whatsoever of the correctness of the answers."

Thursday, December 28, 2006

SMS Shaayariyaan/ Definitions (Hindustaani/ English)

1.Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata

2.Socha tha na karenge kisi se dosti,
na karenge kisi se vaada,
par kya kare dost mila itna pyara ki,
karna pada dosti ka vaada

3.Samja do apni yadon ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hai,
aap to dur rehkar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hai

4.Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
muskura rahe the hum,
par ankho me nami si thi,
saath hamare ye jahan tha sara,
par na jaane kyu tumhari kami si thi

5.Kyun dil ke mere tukde kar diye,
kyun mere aansu ko apni muskan se baha diye,
gunah kya tha mera bus chahna tumhe,
kyun meri zindagi me tune dard bhardiye

6.Phool se pehle khusboo ko to dekho,
karne se pehle kaam ko to dekho,
kisike roop mein diwana naa bano,
surat se pehle uske dil ko to dekho

7.Movie titles related to engg students:
exams - socha na tha,
classes - kabhi kabhi,
question papers - na tum jano na hum,
copying - yaarana,
maths2 - asambhav,
maths1 - mission impossible,
environmental sciences - pyar mein kabhi kabhi,
1st semester - kuch to hai,
2nd semester - yeh kya ho raha hai,
distinction - kal ho na ho,
1st class - raju bangaya gentleman,
2nd class - dil mange more
fail - phir milenge

7.Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hain,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim
hum vo dard hain jo ankho se chalakte hain

8.School- a place where papa pays & son plays
life insurance- a contract that keeps you poor all ur
life so tht you can die rich
nurse- a person wakes up to give you sleeping pills
marriage- a contract in which a boy loses his
bachelors degree & girl gets her masters degree

9.Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake

10.Ikrar may shabdon ki ahmiyat nai hoti,
dil ke jazbat ki awaz nai hoti,
ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzon ki mohtaz nai hoti

11.Gam ki aahat na aaye tere dar par,
pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho,
bhool se jo tapke teri aankhon say moti,
thame wohi jo tumhe sabse pyara ho

12.Mohabbat me sath to harpal hota hai,
koi dikhne se hota hai to koi dilse hota hai,
maza to sath tab aye yaro,
jab judai ka lamha mahsus hota hai

13.Be slow in choosing a friend & slower while loosing
them bcoz friendship is not an opportunity its a
sweet rsponsibility

14.If love is sweet why does it hurt,
if love is deep why does it burn,
if love is warm why do we shiver,
if love is tender why do we cry,
if love is forever why do we die

15.God picked up a flower & dipped in honey
he touched it with love n turned into u,
he then gifted it to me & said this friend is for u

16.Na chaho kisi ko itna ki chahat
aapki majburi ban jaye,
Na chaho kisi ko itna ki
aapka pyaar uske liye jaruri ban jaye

17.Gham ne hasne na diya,
zamane ne rone na diya,
is uljhano ne jine na diya,
thak ke jab sitaron se panah li,
neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya

18.Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,
har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,
koi hum ko yaad kare ya na kare,
har ek ko yaad karna aadat hai hamari

19.Yaadon mein hum rahein ye ehsaas rakhna,
nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
ye nahi kehte ke sath raho dur sahi par yaad rakhna

20.Fasle mita kar aapas me pyar rakhna,
dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna,
bichad jaye kabhi aap se hum,
aankhon me hamesha hamara intejar rakhna

21.Hamne zindagi ki shurarat 'S' se ki,
s se suraj, s se subah, s se swagat, s se saaz, s se
sangeet par phir s se samay ne aisi karwat badli ke
s se hamari shaadi ho gai, aur fir jeewan ka arth
saas, sasur, saala, saali, sasural or sankat ho gaya
to hamne s se sharab pi ne lage, so beware of s

22.Zindagi mein hamesha SMART log milenge,
kahi zyada to kahi kum milenge,
choice zara sochke karna,
zaroori nahi har jagah tumhe hum jaise milenge

23.Sms karenge hum ek duje ko bari bari ,
hame lagti hai ye rasam badi pyari,
ye sms milte hi ek sms bhej dena,
kyunki hame bilkul pasand nahi udhari

24. Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyon se nahi hoti mohabbat bhi sadaa,
khamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai

25.Khuda se thoda rahem kharid lete,
aap ke zakhmo ka marham kharid lete,
agar kahin kabhi bikti khushiyan meri,
to saari bechkar aapka har gam kharid lete

27.Nighahe nighagon se milakar to dekho,
naye logo se rishta banakar to dekho,
hasrate dil me dabane se kya faida,
apne hoton ko hilakar to dekho,
asmaan simat jayega tumhare agosh me,
chahat ki bahen failakar to dekho

28.Friendship opens many doors each with a different
view but none could be more beautiful view
than the door that leads to u

29.Tum kya jano kya hai tanhai is tute hue patte se
pucho kya hai judai,
yu bewafa ka ilzam na de zalim,
is waqt se puch kis waqt teri yaad na aayi

30.Bathmeez
Chaddar ki KAMEEZ,
Lohe ka PAIJAMA,
Bandar tera MAMA,
Billi teri MAUSI,
Kutte mera YAAR,
Aam ka AACHAR
Miss u mere YAAR

31.Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
apki yadon ko sine se lagaya hai,
pata nahi yaad apki hi kyon aati hai,
dost to hamne auron ko bhi banaya hai

32.Make a heart which never breaks,
make a smile which never hurts,
make a touch which never pains,
make a friendship which never ends

33.Dosti gazal hai gane ke liye,
dosti nagma hai sunane ke liye,
ye wo jazba hai jo sabko nahi milta,
kyonki aap jaisa chahiye nibhane ke liye

34.Zindagi hai nadan isiliye chup hoon,
dard hi dard subah shaam isiliye chup hoon,
keh do zamane se dastan apni,
usme aayega tera naam isiliye chup hoon

35.Hoth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
shayad nazron se vo baat ho jaye,
is ummid se karte hain intezar raat ka,
ke shayad sapne me mulakat ho jaye

36.Sehmi si nigaho mein khwab hum jaga denge,
sooni in raho pe phool hum khila denge,
hamare sang muskura ke to dekhiye,
hum aapke har gum bhula denge

37.Kaise kehde ki unse milne ki chahat nahin,
bekarar dil ko ab bhi rahat nahin,
bhula dete unhen bhi magar kya kare dost,
kisi ko bhulane ki is dil ko aadat nahi

38.Mana aaj unhe hamara koi khayal nahin,
jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahin,
pucho unke dil se kya hum unke yaar nahin,
kya hamse milne ko wo bekarar nahin

39.Bolti hai dosti chup rehta hai pyar,
hasati hai dosti rulaata hai pyar,
milati hai dosti judaa karta hai pyar,
phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar

40.Aap to manzil ko mushkil samajte ho
hum aap ko manzil samajte hain,
bada fark hai apke or hamare nazariyon me
aap hume sapna or hum aap ko apna samajte hain

41.Wife: kaash main newspaper hoti dinbhar tumhare
hathon me rehti
Hus: meri bhi yahi dua hai rab se issi bahane har din
nayi nayi to milti

42.Leke hum dusro ki hasi kya karen,
jo apni nahin wo khushi kya karen,
tanha jine se behatar hai mar jaye hum,
jab saath tum nahin to zindagi jikar kya karen

43.Phool bankar muskurana zindagi hai,
muskurake gum bhulana zindagi hai,
milkar log khush hote hai to kya hua,
bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai

44.Happy moments praise God,
difficult moments seek God,
quiet moments worship God,
painful moments trust God,
every moments thank God!

45.Ae khuda dua ye meri, khali na jaye
ke mere dost ki palkon main kabhi aansu na aaye,
aansu nikle to khushi ke,
nikle gum ke aansu mere hisse me aa jaye.

46.Tumhari yaadon ki mehek in hawaon mein hai,
pyar hi pyar hi bikhra in fizaon mein hai,
aisa na ho ki duriya dard ban jaye,
ab to aapke msg ka intezaar niaghon mein hai

47.Mohabbat ko mohabbat ka ishara yaad rehata hai,
har pyar ko apna pyar yaad rehta hai,
wo pal jo yaar ki baho me guzarta hai,
maut tak vo nazara yaad rehta hai

48.Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,
aur sitare keh rahe hain ki hum gagan chod denge,
agar tere ishq mein mai mar bhi jaun ae sanam,
tum dilse pukar lena hum kafan chod denge

49.Aansu aa jate hain aankhon mein,
par labon pe hasi lani padti hai,
yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron,
jis se karte ho usi se chupani padti hai

50.Kyun kisi ki khamoshi mujhe khamosh kar jaati hai,
kyun uski udaasi muje udaas kar jaati hai,
kya rishta hai uska mera jo mujhe uski yaad har pal aa
jaati hai

51.Jab koi khayal dilse takarata hai
dil na chahkar bhi khamosh reh jata hai,
koi sab kuch kehkar pyar jatata hai
toh koi kuch na kehkar bhi pyar nibhata hai

52.Reth pe likhna to adat hai hamari,
isiliye toh sagar se dushmani hai hamari,
chahe wo lakh bar apka nam mitaye,
apko bhulana taqdir nahi hamari

53.Lamhe ye sunhere kal sath ho na ho,
kal me aaj jaisi baat ho na ho,
yaadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
tamaam umar chahe mulaqat ho na ho

54.Mere alfazon ko juth mat samajna,
yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna,
ji raha tha tumhare naam par
mar jaun toh bewafa mat samajna

55.Lehar ati hai kinare se palat jati hai,
yad ati hai dil me simat jati hai,
faraq itna hai ki lehar bewaqt ati hai,
aur aap ki yaad har waqt ati hai

56.Rab se aapki khushi mangte hain,
duaon me aapki hansi mangte hain,
sochte hain kya mangen aapse,
chalo aapki umar bhar ki dosti mangte hain



57.Nazre na hoti to nazara na hota,
duniya main hasino ka guzara na hota,
hamse yeh mat kaho ke dil lagana chhod de,
jaake khuda se kaho hasino ko banana chhod de

59.Wo laut aayega teri zindagi mein,
jiska intezaar tujhe aaj bhi hai,
maana waqt ne ki hai bewafai tujhse
lekin meri duaon me asar aaj bhi hai

60.Ruthne ka haq aap rakhte hain
manane ki chahat hum rakhte hain,
aapke hoton pe muskurahat yu hi bani rahe yehi dua rab
se hum roz karte hain

61.Kiss is not like nokia just connecting people,
not like Nike just do it,
not like Pepsi yeh dil mange more,
but kiss is like Lays no one can eat just one

62.Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye ki hum jise
yaad kare use khabar ho jaye
rab se yahi dua hai meri ki aap jise chahe woh aap ka
humsafar ho jaye

63.Heart is like a crystal preserve it,
love is like a perfume spread it,
feelings are like flood flow it,
friendship is like umbrella come lets share it

64.Kafi hai husn dil ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale pade gam se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gamon ko bhulane ke liye

65.Anjane me hum apna dil gawa baithe
is pyar me kaisa dhoka kar baithe
unse kya gila karen bhool hamari hi hai
jo bina dil walon se dil laga baithe

66.Har khushi dil ke karib nahi hoti,
zindagi gamon se dur nahi hoti,
ae dost is dosti ko sanjokar rakhna,
aisi dosti har kisi ko nasib nahi hoti

67.Hum mitti ka aashiyana banate gaye,
bana bana kar unhe mitate gaye,
hume koi na apna bana saka,
hum har kisi ko apna banate gaye

69.Kaun hai jo manzil se door nahin,
kaun hai jo zindagi se majboor nahin,
gunaah to sabhi karte hain,
humari nazar mein to khuda bhi bekasoor nahin

70.Kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein hamare liye pyar hoga,
guzar rahi hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko bhi hamara intezar hoga

71.Nazron se jab nazar ka takrar hota hai,
har mod par kissi ka intezaar hota hai,
dil rota hai zakham hasten hai,
isi ka naam to pyaar hota hai

72.Unhone dekha aur aansu gir pade,
bhari basant mein jaise phool bikhar pade,
dukh woh nahin ki unhone humen alvida kaha,
dukh to ye he ki uske bad wo khud ro pade

73.Mana ye waqt hamen yaad karne wala nahin,
par bewaqt he yaad karliya karo,
mana aapke aspas sari duniya hai,
kabhi hamari kamika bhi ehsas karliya karo

74.Nashili aankho se wo jab hamen dekhte hain,
hum ghabraakar ankhen jhuka leite hain,
kaun milaye unn ankhon se ankhen,
suna hai wo ankho se apna bana leite hai

75.Chandni raat main jab sara jahan sota hai
kisi ki yaad main koi badnaseeb rota hai,
khuda kisi ko pyar pe fida na kare
aur kare to juda nakare

76.Har pal muskurana zindagi hai,
muskurakar gam bhulana zindagi hai,
jeet kar muskurana bhi kya muskurana hai,
haar kar muskurana zindagi hai

77.Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
hum hasayenge tumko gham se khushi tak,
aye dost kabhi humse naraz na hona,
saath rehna hamare akhiri dum tak

80.Ret pe naam kabhi likhte nahi,
ret pe naam kabhi tikte nahi,
log kehte hai ki hum patthar dil hain,
lekin pattharon pe likhe naam kabhi mit te nahin

81.How can u tell the rain not 2 fall when clouds
exists,
how can u tell the leaves not 2 fall when the wind
exists,
how can u tell me not 2 miss when u exists

82.Aankhon me rahne walon ko yaad nahi karte,
dil me rehne walon ki baat nahin karte,
hamari to ruh me bus gaye hain aap,
tabhi to hum milne ki fariyaad nahin karte

84.To walk is easy but 2 walk alone is tough,
being missed by someone is nice
but missing someone is painful,
being loved is secure but to love is insecure

85.Some people have nice eyes,
some people have nice smiles,
others have nice faces, but u have all of them with a
nice heart

86.Phool bankar muskurana zindagi hai,
muskurake gum bhulana zindagi hai,
milkar log khush hote hai to kya hua,
bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai

87.Tujse dosti karne ka hisab na aya,
mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,
hum to jagte rahe tere hi khayalo me,
aur tujhe so kar bhi hamara khawab na aya

88.These are some of the romantic countries in the
world,
holland: hope our love lasts & never dies,
italy : i trust & love u,
libya : love is beautiful & u also,
france : friendship remains & never comes to an end

89.Jakham aisa diya ki koi dawa kaam na aayi,
aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi,
aaj bhi rote hai unki yaad main,
jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi

90.Bhool jane ka hounsla na hua,
door rah kar bhi wo juda na hua,
unse mil kar kisi aur se kya milte,
koi dusra unke jaisa na hua

91.Laughter is the jam on the toast of life,
it adds flavour keeps it from being too dry & damp; makes it
easier to swallow lifes sorrows.

92.Kaanch chube to nishan reh jaata hai,
dil tute to armaan reh jaata hai,
laga to deta hai waqt marham is dil par,
phir bhi umar bhar ek zakhm reh jata hai

93.Log phoolon se mohabbat karte hai,
kaaton ko kisne yaad kiya,
hum kaaton se mohabbat karte hai,
kyunki phool ne hume barbaad kiya

94.Hum agar aapse mil nahi pate
aisa nahin ke hamein aap yaad nahi aate,
mana jahan ke sab rishte nibhaye nahi jate,
par jo bas jate hai dil me phir bhulae nahi jate

95.Nazar nawaz najaron me ji nahi lagta,
fiza gai to baharon men ji nahi lagta,
na puchh mujse tere gum men kya gujarti hai,
yahi kahunga hazaron me ji nahi lagta

96.Never search ur happiness in others which will make
u feel alone,
but search it in urself u will feel happy even if u
are left alone

98.Fiza par asar hawaon ka hota hai,
mohabbat par asar adaon ka hota hai,
koi aisa hi kisi ka diwana nahi hota,
kuch kasoor to nigahon ka hota hai

99.Pyar ke ujalo me gum ka andhera kyun aata hai,
jisko hum chahte hain wohi kyun rulata hai,
mere khuda agar wo mera naseeb nahin to aise logon se
kyun milata hai

100.Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge
_____________________________________________________
________

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

<< Home